Parhai ka stress to kuch bhi nahin hai bai.
Aik business person ka stress next level hota hai.
Har lamha, naye qisam ka masla uth khara hota hai.
Wo banda jo normal life mein stress bear nahin kar sakta, usay to lag pta jaata hai.
Business mein chahay loss ho ya profit, month end pay team ko to kaisay bhi kar k salaries daini parti hain.
Market uncertainty to banday ko depression mein ly ja k hi chorti hai.
Aisey hazaaron maslay hein jo aik business person ko sort out karnay partay hain.
Hamarey aik student “Rohail Nadeem” ki story bhi kuch aesi hi hai.
Jab inhon ne business start kiya, inhein kuch khaas response nahin aya.
Frustration ki inteha thee.
Parcels ki return ratio as compared to delivered ratio zyada a rahi thee.
Ye sub business start kartay waqat ki baat thee.
Inhon ne hamara “Digital Marketing Program” join kar k apni campaigns ko optimize kiya.
Hamara support system use kartay hue inhon ne figure out kiya k exactly kahan pay ye ghaltiyan kar rahey hain.
Us k mutabiq inhon ne strategies bnain.
Wo din tha aur aaj ka din hai, tashakkar bharay alfaaz mein hamein unki ye success story receive hui hai.
Yaad rakhein, maslon say bhaagna koi hull nahin hai.
Problems k solutions dhoonday jaatay hain, na k un say bhaaga jaata hai.
Achi planning aur kaamyaab strategies say business k har maslay ko qaabu kiya ja sakta hai.
Agr aap bhi back to back apni business campaigns mein nuqsaan utha rahey hain to iska matlab hai k aap kuch technical ghaltiyan kar rahey hain.
Un ghaltioyn ko identify karney aur unhein theek karney k liye technical knowledge say bharpoor hamary “Digital Marketing Live” program try karein.
Ta k future mein aapka paisa mazeed zaya honay say bach sakey.
Hamara program waqai mein kuch valuable techniques sikha raha hai ya nahin…
Iski tafteesh karney k liye aap hamarey kuch successful students k reviews daikh saktay hain.