Shocking hai par ye fact hai k log aik doosre ki baat sun’ne ko tayar hi nahin hain.
Har koi bs jawab daine k liye agle bnde ki baat sunta hai.
Therapists k paas isi wajah se rush laga hota hai kyun k wo logon ki baatein sunte aur us k according suggestions daity hain.
Boht dukh k saath kehna par raha hai k professional field mein bhi yahi kuch chal raha hai.
Log courses k name pay sirf courses biach k ghaib ho rahe hain.
Baad mein students k saath kya hua, unki earning start hui ya nahin, iski to kisi ko parwah hi nahin hoti.
Puraany students ko Allah Hafiz kaho aur new students ki talaash shuru kar do.
Ye wo issue tha jis ne hamein majboor kiya k hum in bechary students k liye kuch karein.
Kaafi research k baad hum ne “Lifetime Mentorship” ka aik feature introduce kiya aur logon ko course baichney ki bajaye aik ecosystem provide karne pay focus kiya…
Ta k log sach mein kuch seekh kar kamana shuru kar sakein.
Lifetime mentorship mein hum ne Facebook aur WhatsApp support group, daily live Q&A sessions aur helpful tutorials rakhey jin se students…
Na sirf hum se seekhne k dauraan bal k baad mein bhi, lifetime k liye faida utha sakein
Aur aaj hamare aik student ka specifically hamare lifetime mentorship k support system k baare mein review ayah ai.
Hamein is baat ki zyada khushi hai k hum ne students ki behtri k liye jo socha tha wo practically fruitful saabit ho rha hy.
Hamare ecosystem mein is trha k both se features hein jo students ki earning yaqeeni bnane mein both useful saabit ho rahe hein.
Jan’na nahin chahein gey k wo features kya hein.
Is silsale mein aap hamari website visit kar sakte hein.
Hamare ecosystem se related koi sawal hai to hamari team se pooch sakte hein.